Wednesday, February 12, 2014

Aarz kiya hai...



Adhuri si dastan ki adhuri si ye baat hai,
Alfaz hai kai hawaon me na lafzo ka sath hai.
Har koi hai wakif is se ye jo tera mera raz hai
Par khwaisho ki is kahani se hakikat ko aitraz hai.
Do suro me sameti hui ye mere chahat ki bandish hai
Dil ko deti hai dosti ka wasta ye to kismant ki sajish hai.
Ae dil-e nadan ye to zindagi ki shuruwat hai….

---------------------------------------------------------------------------------

Khamoshi bhi yaha kitna kuch kah jati hai
Har pal hai ek dasta jo hawaome rah jati hai
Milo faili tanahi aur dil ki ye gahrai, kuch bat hai chedti
Kuch mujse, kuch gujarte lamho se, alfaz hai ye magnti
Neeli si fizaone ab mere hi labjo ka hai saj le liya
Bas mai aur meri dhadkan, jaise apne hone pe aaj yakeen aa gaya...

--------------------------------------------------------------------------------------

Akela nahi hai dil tu jo gumrah rahon pe chalta hai,
Maja to safar me hai, fir faslon se kyu darta hai.
Khawab bhi hai tere, betabiya bhi teri,
Gam bhi tera hai aur muskurahate bhi teri.
Hai jo har lamha bas tere khatir, 
to duniya ki fikar kyu karta hai.
Khwaishonko tere udne de jara,
Baate unkahi si kahne de jara
Tere hone ka matlab hi to zindagi hai,
Ab zindagi ko khud se jee le ne de jara…


No comments:

Post a Comment

Aarz kiya hai...

Adhuri si dastan ki adhuri si ye baat hai, Alfaz hai kai hawaon me na lafzo ka sath hai. Har koi hai wakif is se ye jo te...