Sunday, October 14, 2018

Dil ke zaronke se



Zamana  ishq karta raha aur hum ishq ko samajh ne me waqt jayar kar gaye. 
Do baaten duniya ko samjha di,  par kudh to fir bhi nadan reh gaye.
Mauka mila jab dil ki bazı lagane ka
Tab jeet ke dar se, khud se hi haarte gaye.

------------------------------------------



Ae zindagi ab teri sharten hai na-manjoor.
Meri khwaishonko na saza de, hai ye zamanen ka kasoor.
Mana ke chahat pe ada, mera dil bhi hai thoda majboor. 
Par kya karega baghi? Zindagi is par tera hi to hai suroor. 

-------------------------------------------

Ae zindagi aise jeene ki aadat na dal, kabhi kisi pe marne ki izazat na hogi.
Tanhai me jeene ki ibadat na kar, humsafar se kisi din shikayat si hogi.

------------------------------------------


Kabhi kisi maud par fir mulakat hogi
Adhuri si thi jo thi fir wahi baat hogi.
Aadha sa izhar aur pura sa inkar,
Fir koi shuru takrar hogi.
Shayad khatam ho ne ko hi, nayi shuruwat hogi


Kabhi kisi maud par fir mulakat hogi.

-----------------------------------------

Dil ke andhere ko roshni de us shayri ki aas hai
Tere dehlij par chod aaye the us mohobbat ki talash hai.
Khayalon ne zinda rakha hai dil ko
Sawal zindagi ke to yuhi mar dete.
Umeed ki baazi lagayi hai, jannab,
Warna ishq ke khel me kab ka har jate.

---------------------------------------------

E dil-e-nadan teri khatan kya hai? Dard me milite khushi me rakha kya hai?
Tufano me kashti dal ke ab tak jee rahe the, aaj sahilon pe utarke na pucho saja kya hai?
----------------------------------------
Gawara hai zindagi se koi shikayat rakhna,
Ek gila zindagi ko hum se bhi hai.
Sans lena yaad rakhte hai har pal
Par kya wo lamha hum jeete bhi hai? 



No comments:

Post a Comment

Aarz kiya hai...

Adhuri si dastan ki adhuri si ye baat hai, Alfaz hai kai hawaon me na lafzo ka sath hai. Har koi hai wakif is se ye jo te...